Kitne fasane is duniya mein yunhi ban jate hain
Ajanbi musafir ek rishta bana jate hain
Zindgi mano ek lamba safar hai
Jisme kuch ankahe rishte ban jate hain
Un rishton mein kuch waqt ke saath choot jate hain
Aur kuch waqt ke saath mazboot ban jate hain
Inhi rishton mein ek rishta hamara
In khoobsurat rishton ke ehsaas kuch gehre ho jate hain
Kehne ko to hum sirf dost hain
Par rishta pyar se badhkar hain
Jise chaho wo shayad chod jaye hume
Par sache dost sada paas rehte hain
Zindgi mein gham aur khushi to aati rehti hain
Har pal utar-chadaav hote rehte hain
Par jo dil se dost hote hain
Woh har waqt saath nibhate rehte hain

No comments:
Post a Comment