Saturday 21 July 2012

Friends Forever

“Friends forever,” you promised.
“Together till the end.”
We did everything with each other.
You were my best friend.

When I was sad, you were by my side.
When I was scared, you felt my fear.
You were my best support -
If I needed you, you were there.

You were the greatest friend,
You always knew what to say:
You made everything seem better.
As long as we had each other,
Everything would be okay.

But somewhere along the line,
We slowly came apart.
I was here, you were there,
It tore a hole in my heart.

Things were changing,
Our cheerful music reversed its tune.
It was like having salt without pepper,
A sun without its moon.

Suddenly we were miles apart,
Two different people, with nothing the same.
It was as if we hadn’t been friends;
Although we knew deep in our hearts
Neither one of us was to blame

You had made many new friends
And luckily, so had I
But that didn’t change the hurt -
The loss of our friendship made me cry.

As we grow older, things must change
But they don’t always have to end.
Even though it is different, now,
You will always be my friend.

Dosti 3

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
“IS Dosti”Ka Andaz Kuch Aisa hai,
kiya Batain k ab “Haal” kaisa hai,
“kaun”kehta hai k Aap”Chand”jaise ho,
“Sach”to ye hai k”Chand” Aap jaisa hai..
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Yeh dosti charag hai jalay rakhna
Yeh dosti khusbo hai mehkay rahhna
Ham rahein ap k dil mein hamesha k lia
Itne jaga dil mein hamare liye banae rakhna…
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Ek Döst Méri Zindgi Méin Aisä Häi”
“Möhäbätön Ki Trhä Häi Wäfäön Jäisä Häi”
“Méri Täläsh Ki Häd Us Pr Khätm Hö Jäyé”
“Zäméèn Pr Häi Wö Mgr Asmään Jäisä Häi”
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Dosti gazal hai gane ke liye,
dosti nagma hai sunane ke liye,
ye wo jazba hai jo sabko nahi milta,
kyonki aap jaisa Dost chahiye nibhane ke liye
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
 Hum nibhayenge dosti marte dum tak,
hum hasayenge tumko gham se khushi tak,
aye dost kabhi humse naraz na hona,
saath rehna hamare akhiri dum tak
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Har khushi dil ke karib nahi hoti,
zindagi gamo se dur nahi hoti,
ae dost is dosti ko sanjokar rakhna,
aisi dosti har kisi ko nasib nahi hoti
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
 Saath Humara pal bhar ka sahi,
par woh pal aise jaise koi kal nahi
rahe zindagi mein shayad phir milna humaara
par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
 Asman ko zid hai bijliyan girane ki
hume b zid hai apse apki dosti pane ki
Apko hai zid agar hume bhulane ki
to hume b zid hai apko apni yaad dilane Ki
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
 Gamo Ki Dhup Me Kabhi Jana Na Pade,
Palko Ko Kabhi Bhigana Na Pade
Bin Mange Hi Mile Apko Itna Kuch Ki
Dua K Liye Kabhi Sar Jhukana Na Pade.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Dekhte he aaj us rah ki viraniya
Yaro k sath jaha suni thi kahaniya
Guzra wo daur
Bichhad gaye sab dost
Sath reh gayi bas un lamho ki nishaniyan.!
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Dosti 2

Zindgi ko khushi me bitana sikhlo,
apne armano ko aap chhupana sikhlo,
zindgi me kabhi gum chhu bhi na payege,
bus aap har baat pe MUSKURANA sikhlo...

Yeh kis tarah yaad aa rahe ho,
Aankhen band hai phir bhi nazar aa rahe ho,
Na jane kyon aisa lagta hai jaise saamne khade ho aur POONCHH HILAA rahe ho

Kamoshiyon me ek ada Itni Pyari lagi,
apki Dosti hume sabse nyari lagi,
ye na tute yahi dua hai kyuki...
yahi ek cheez to Dunia me hume humari lagi.

Jise dil ki "KALAM" aur bharose ki "INK" kehte hai,
Jise lamho ki "KITAB" aur yado ka "COVER" kehte hai,
Yahi wo "SUBJECT" hai jise log "FRIENDSHIP" kehte hai.

Rishto ki kitab ka cover hai Dosti,
Dosti se bani hai hamari Hasti,
Khoon K rishto ki baat aap karte hai,
Hamare liye to Zindagi hai Aap Ki Dosti


Kuch Beete Pal Ki Yaad Sajaye Rakhna,
Kuch Aane Wale Pal Se Aarzu Lagaye Rakhna,
Pal To Yuhi Aate Jate Rahenge Ae Dost,
Bas Apne Hontho Pe Muskaan Yuhi Banaye Rakhna!!!

Dillagi Dosto ke naam hoti hai..
Dildari Dosto ki shaan hoti hai..
kahi bhi raho par rahoge Dil me mere..
yahi sachchi Dosti ki pehchaan hoti hai...

PALKO SE ANKHO KI HIFAZAT HOTI HAI,
DHADKAN DIL KI AMANAT HOTI HAI,
HUMARA RISTA BHI KITNA PYARA HAI,
KABHI CHAHAT TO KABHI SIKAYAT HOTI HE.



Muskurati Ankho Me Aa Jate H Ansu
Dard Dil Ka Byan Kar Jate H Aansu
Boj Jab Dil Par Had Se Bad Jaye
Us Boj Ko Halka Kar Jate H Aansu..
In Ansu Ki Fitrat Ko Kisne Phchana H
Khushi Ho Ya Gm Chlak Aate H Ansu

Shayri Collection 1

KABHI ANDHERA TO KABHI SHAM HOGI
MERI HAR KHUSHI DOSTI KE NAM HOGI
KUCHH MANG KAR TO DEKHO HUMSE
HOTHON PE HANSI AUR HATHELI PE JAAN HOGI



Roshan shama ko hum aabad kya kare,
Tarif me apki alfaz kya kahe.
Jo dua me ho har pal uski fariyad kya kare,
Jise bhulaya hi nahi kabhi use yaad kya kare..!

ey Hawa Tu Udhar To Jati Hogi,
Dosto Ko Hamara Hal To Batati Hogi..
Zara Chhoo Ke To Dekh Unke DiL Ko,
Kya Yaad Unhe Bhi Hamari Aati Hogi...

aap kudrat ki banayi tasveer ho,
Mere Dil se judi 1 janjeer ho,
Hum to us hath ko hi kaat denge,
Jis hath me aapse judai ki lakeer ho..!

Jab waqt ki dhadkano ko tham leta hai koi,
Hum sunte h khyalo me naam leta hai koi,
Yaade tab aur yaadgaar ban jati hai,
Jab humse behtar hume jaan leta hai koi.

Aasman se todkar “tara” diya hai,
Dard ne tanhai me ek sahara diya hai,
meri “kismat” bhi “naaz” karti hai mujhpe,
khuda ne “Dost” hi itna pyara diya hai...

Kuch ehsaso k saye Dilko chu jate hai,
kuch manjar Dil me utar jate hai,
bejan gulshan me bhi phool khil jate hai,
jab zindgi me aap jaise Dost mil jate hai...

Mumkin nahi is yaari ko bhula pana,
Mumkin nahi apko yaado se mita pana,
aap ek keemti tohfa ho Dosti ka...
Mumkin nahi is tohfe ki keemat chuka pana.



Tamannaye to dil ki hasrat he
puri ho jaye to hum khush kismat he
na puri ho to gam kya krna
adhuri rehna to tamannao ki fitrat he


Roothe jo zindagi to mana lenge hum,
Mile jo gum to nibha lenge hum…
Bus tum rehna saath hamare,
Pighalte aansuon me bhi muskura lenge hum

Aapki aankhon mein hume mil gayi panaah,
Chahe samjho dillagi ya samjho gunaah…
Bhale hi koi hume diwana karar de,
Hum to ho gaye aapki dosti mein Fanah



tufaan me kasti ko kinare bhi milte hai,
jahan me logo ko sahare bhi milte hai,
duniya me sabse pyari hai jindgi.....
aur kuch log jindgi se bhi pyare milte hai.




Dosti Shayri

Apki Pyari Si Dosti Kaise Bhul Jau,
Pal-Pal aapki Yadon Me Kyu Na Aau??
ey Dost apki Dosti Sabse Pyari Hai,
Phir apko Apni Yaad Kyu Na Dilau??

Pal-Do-Pal me hi milti hai khushi,
Pal-Do-Pal me hi milta hai,
gum.. Par jo har pal saath nibhaye,
aise DOST milte hai kam... Jaise ki “U” “ME” aur “HUM”.
Kabhie Khushi Kabhie Gham

Sabse alag sabse nayare ho tum,
Tareef kabhi puri na ho itne pyare ho tum,
aaj pata chala ki zamana kyu jalta hai humse…
kyuki dost to akhir hamre ho tum.

Aap ke dard-e-dil ka haal ban jayenge,
apke wafao ke misal ban jayenge,
ankho me ek ansu lakar to dekho,
uske girne se pehle hum rumal ban jayenge...

Imandari ki kamai Kam hoti hai,
Manzil pane ki jid ho to rahen choti hoti hai,
Naye dost chahe jitne banalo,
Purane Dosto ki baat kuch aur hoti hai..

Tum dost ho mere sada ke liye,
Main zinda hoon tumhaari waffa ke liye,
Kar lena laakho shikwa mujhse magar,
Na hona khafa Mujhse khuda ke liye...

A friend is like a “pitara”,
in which we can store our “problem sara”,
When the life becomes “khatara”…
then friend is “great sahara” Samjhe mere “yara”.

Har aarzo hamari adhuri nahi hoti,
doston me kabhi doori nhi hoti
jinke dil me rhte ho Dost aap jaise,
unhe dhadkan ki bhi jaroorat nahi hoti.

Yari ka ye silsila banaye rkhna...
Dost kehte ho to Dosti bnaye rakhna...
Jaan to nahi mangenge aap se.....
Par Guzarish hai ki Jaan k Jane tak Dosti banaye rakhna.!

Birth Day Shayri

Jannat k mehlon me ho mahal apka
Khwabo ki wadi me ho sheher apka
Sitaro ke angan me ho ghar apka
Dua he sabse khubsurat ho har din apka
*************
Har Kadam Par Aapki Hasi Ho,
Har Pal DiLMe Aapki Khushi Ho,
Sitare Bhi Zamin Par Akar Aapko Gher Le,
Aisi CHAND Ki Tarah Chamakti Aapki Zindgi Ho.!”
***************
Har Niyamat Har Khushi Apki Ho,
Mehak Uthe vo mehfil jaha hansi apki ho,
koi bhi lamha apka udas na ho,
KHUDA Kare “JANNAT” Jaisi Zindgi apki ho.
****************
Har Khushi Par Hak Ho Apka,
Khushiyo Bhara Safar Ho Apka,
Gum Kbi Karvat Na BadLe Apki Taraf,
Sada Muskurata Rahe Chehra Apka.
****************
arbo ki ginti to mujhe aati nahi,
par Dil ka ek khayal apse keh du,
agar pani ki har ek "Boond" khushi ban jaye to...
apko tohfe me sara samunder de du.

Har din har pal yun hi muskurate rahna,
aasman ke tare ki tarah hamesha timtimate rahna,
dua karne ke liye to hum hamesha rahenge,
gujarish hai Khuda se aap yun hi SALGIRAH hamesha manate rahna.
****************
Khuda har raat chand ban k aaye,
din ka ujala shaan ban k aaye,
kabhi door na ho apke chehre se hansi,
har naya din aisa mehman ban k aaye.
******************
Kareeb koi gam apke aaye na,
Waqt apko kabhi rulaye na,
Bhara rahe khushiyo se daaman apka,
Bhagwan Iss Dost ki ye aarzoo kabhi thukraye na.
*************************
Ek sunhre pal me har khushi aapki ho,
jindgi k safar me har manjil aapki ho,
Ek pal me hasa de jo saare jaha ko...
khuda kare wo muskurati hasi apki ho
************************
Mile wo jo aapke nazar ko talash ho,
har subah ke saath ek naya ahsaas ho,
zindgi ka har lamha pasand aaye apko,
Jindgi gujre aise ki har pal khushiyo se mulakat ho.
*******************
Har naye din me ek nayi aas ho,
Har ashirvad ka saya aapke sath ho,
Koi dukh aapko chhu na sake,
Bus muskurahat hi muskurahat aapke pass ho.
*********************
Bhige mausam ki khushbu hawaoo me ho,
apke sath ka ehsas in fizao me ho,
yuhi sada rahe apke honto pe Muskurahat
itna asar meri duao me ho.
********************
Phool khilte rahein zindgi ki raah mein
hassi chamakti rahe aapki nigaah mein
kadam kadam par mile khushi ki bahar aapko
Dil deta hai yehi dua baar-baar aapko
***********************
Pag me phul khile,
har khushi aapko mile,
kabhi na ho dukho ka samna,
Yahi meri Janmadin ki Shubhkamna.
********************

Thursday 19 July 2012

Zara Si Zindagi Hai Arman Bahut Hain
Humdard Nahi Koi Insan Bahut Hain
Dil Ka Dard Sunaye To Sunaye Kisko
Jo Dil Ke Kareeb Hai Wo Anjan Bahut Hain
********
Wo Aansu Jo Palko Ki Zeenat Nahi Bante
Wo Chupke Se Dil Mein Utar Jaya Karte Hain
Kuch Log Apne Dukho Ki Numaish Nahi Karte
Bas Khamoshi Se Hi Bikhar Jaya Karte Hain…
********
Jane Kyun Aansuo Se Aankh Bhar Aayi
Dil Ko Shayad Tumhari Yaad Bahut Aayi
Chahat Thi Itni Tum Se Milne Ki
Lekin Ye Baat Uperwale Ko Kabhi Raas Na Aayi…
********
Socha Na Tha Dil Ko Kuch Ho Jayega
Sambhala Jise Ab Tak Wo Kho Jayega
Is Tarah Se Zindagi Mein Aaoge Tum
Madhosh Ho Ke Dil Tujhme Hi Kho Jayega…
 ********
Palko Se Aankho Ki Hifazat Hoti Hai
Dhadkan Dil Ki Amanat Hoti Hai
Hamara Rishta Bhi Bada Pyara Hai
Kabhi Chahat To Kabhi Shikayat Hoti Hai…
 ********
Naam-E-Mohabbat Se Khushbu-E-Wafa Aati Hai
Mere Dil Se Teri Dhadkan Ki Sada Aati Hai
Jab Bhi Karte Ho Yaad Hume Dil Se
Yu Lagta Hai Jaise Jannat Se Hawa Aati Hai…
 ********

Wednesday 18 July 2012

Hum Ko Aur Na Tadpa





















Gunah Hua Hai Mujhse Yeh Maana Maine,
Kya Thi Majboori Kya Kabhi Jaana Tumne,
Zakhm Tumko Mila Hai Per Dard Humko Hota Hai,
Apni Bawafai Per Dil Saari Saari Raat Rota Hai,
Kerdia Maaf Keh Ke Apna Gam Na Seene Mein Dabaya,
Suji Huyi Aankhe Aur Murjhaya Hua Chehra Humse Na Chupaya,
Kuch Ker Humper Raham Aur De Humko Saza,
Yuh Aansu Bahaker Hum Ko Aur Na Tadpa…

Bahut Yaad Aata Hai



Dil Haqikat Ko Kuchh Is Kadr Chhupata Hai,
Ki Wo Pathar Hai Magar Bahut Yaad Aata Hai,
Ek Main Hun Jo Aankhon Me Ask Jawan Liye Hoon,
Aur Ek Wo Hai Jo Aaj Bhi Surma Lagata Hai,
Dard Mere Seene Me Hai Mujhe Iska Gila Nahin,
Gila To Ye Hai Ki Ruk Ruk Ke Aata Hai,
Rab Ki Rehmat Ko Bhala Koun Jaan Paya Hai,
Jo Kisi Ko Seesa To Kisi Ko Pathar Banata Hai,
Dil Haqikat Ko Kuchh Is Kadar Chhupata Hai,
Ki Wo Pathar Hai Magar Bahut Yaad Aata Hai….

tumhe chahne se kya rok sakenge

aab tumhare saaye se bhi rubaru na ho sakenge, 
sirf tumse milne ki sapne dekha krenge,
 jb tumhara aksh bhi paraya sa lagega, 
dil me fir bhi tumhri yaade rkhenge,
 aashuon ki khabar bhi tum tk n pahunchegi,
 aankho ki gehraiyon me inhe chupay rkhenge,
 tumhe kisi mod par awaaz nahi denge, 
bas dil hi dil me pukara krenge, 
aankho me intzaar har pal basa hoga, 
zindagi kuch aise gujra krenge, 
chahenge tumko hamesha hamesha, 
aur aise hi jaha se rukhsat krenge, 
hm mil na sakenge bhi to gam na hoga, 
jajbaat ka he rishta to dil se dil log hame milne se rok bhi le,
par mujhe tumhe chahne se kya rok sakenge…

Specially For Someone..



















I'm bad in English,
but I can tell you ''I love you''..

I'm bad at Geography,

but I can tell you that you live in my heart..

I'm bad in history,

but I can remember when i first saw u..

I'm bad in chemistry,

but I can tell whats d reaction when u smile..

I'm bad in physics,

but I can tell d intensity of spark of my eyes when they see u..

I'm bad in every subject,

but I can top the subject if my topic is "U"...

Tuesday 17 July 2012

Zindgi

Aise bhi kai rang dikhati hai zindagi,
Phir uski mujhko yaad dilati hai zindagi,
Sham o shahar sukoon ki chahat liye huae,
Thak haar ke mere hi paas aati hai zindagi,
Badla meri wafaon ka mujhko nahi mila,
Kyun baar baar ye sawal uthati hai zindagi,
Kyun mere haq mai koi bhi karta nahi dua,
Ro roke mot ko gale lagati hai zindagi,
Ae shamsh apna haal e dil khahena fuzool hai,
Kab umar bhar ka saath nibhati hai zindagi.

Tanhai...

Aab Intazar Ek Aadat Si Ho gai Hai,
Khamoshi Se Ek Caahat Si Ho gai Hai,
Na Shikwa Na Shikayat Karne Ki Zarurat Hai,
Kyuki Is Tanhai Se Abb Mohbbat Si Ho gai Hai.
***********************************
Kyu Hame Kisiki Talash Hoti Hai,
Kyu Dil Ko Kisiki Aas Hoti Hai,
Chand Ko Dekho Vo B Tanha Hai,
Fir Bhi, Uski Chandni Se Roshan Raat Hoti Hai.
***********************************
Ban Jaon Agar Tum Sa Tumhay Kaisa Lagay Ga?
Her Pal Main Rahoun Tum Se Khafa Kaisa Lagay Ga?
Tum Pyar Main Khud Ko Bhi Mitane Pe Ho Raazi
Ban Jaye Agar Pyar Saza Kaisa Lagay Ga?
Khud Se Bhi Zyada Ho Yaqeen Tum Ko Kisi Par
Woh Shakhs Hi De Jaye Dagha Kaisa Lagay Ga?
Tum Auron Ki Mehfil Ka Diya Ban Ke Jalo Phir
Tanhai Milay Tum Ko Sila Kaisa Lagay Ga!!??
**********************************
Geele Kagaz Ki Tarah Hain Zindagi Apni,
Koi Jalata Bhi Nahin Koi Bahata Bhi Nahin,
Is Qadar Hain Akale Rahaon Mein Dil,
Ki Koi Bulata Bhi Nahi Koi Batlata Bhi Nahin.
**********************************
Ek Pal Ka Ehsas Bankar Aate Ho Tum,
Dusre Hi Pal Khwab Bankar Udd Jaate Ho Tum,
Janty Ho Ke Lagta He Dar Tanhaiyo se,
Phir Bhi Bar Bar Tanha Chod jaate ho Tum.
**********************************

Phir Admi Tanha Ho Jaata Hai

Jis Kisi Ko Bhi Chaho Woh Bewafa Ho Jaata Hai,
Sar Agar Jhukao To Sanam Khuda Ho Jaata Hai,
Jabh Talak Kaam Aate Raho, Humsafar Kehlaate Raho,
Kaam Nikal Jaane Par Humsafar, Koi Doosra Ho Jaata Hai,
Gham Nahi Tha Humko Kabhi Zamaane Ki Ruswaaion Ka,
Takleef Hoti Hai Jabh Koi Apna Khafa Ho Jaata Hai,
Dil Ki Khalish Aksar Jaan Leva Ho Jati Hai Lekin,
Dar-E-Dil Ek Hadh Ke Baad Dard-E-Dawa Ho Jaata Hai,
Hara Bhara Hai Gulshan-E-Yaar, Yeh Bahar Ke Din Hai,
Khizan Aane Par Dekho Ek Ek Patta, Kaise Juda Ho Jaata Hai,
Yahi Sachchai Hai, Haqeeqat Hai, Yahi Dastoor-E-Zindagi Hai,
Kuch Der Milte Hai Humraahi,Phir Aadmi Tanha Ho Jaata Hai.
***********************************
 

Bewafa..

Bekasur The Phir Bhi Sataye Gaye Ham,
Khud Roye Nahi Rulaye Gaye Ham,
Aise To Ham Nahi Ki Yaad Na Aaye,
Bhule Nahi Bhulaye Gaye Ham…
*****************************
Tujhe Inkar Hai Mujse, Mujhe Ikrar Hai Tujhse, 
Tu Khafa Hai Mujse, Mujhe Chahat Hai Tujhse, 
Tu Mayoos Hai Mujhse, Mujhe Khushi Hai Tujhse,
 Tujhe Nafrat Hai Mujhse Aur Mujhe Pyar Hai Tujhse.
*******************************
Jo Wada Kiya Hai Wo Nibhana Hoga, 
Ek Din Laut Kar Tumhe Aana Hoga, 
Dil Todkar Muskura Rahe Ho Aaj,
 Dekhna Ek Din Tumhe Bhi Pachtana Hoga.
******************************
Zindgi Ki Har Ek Udaan Baaki Hai,
Har Mod Pr Ek Imtihan Baki Hai,
Abhi To Sirf Aap Hi Pareshan Hai Mujhse,
Abhi To Pura Hindustan Baaki Hai.
**************************

Monday 16 July 2012

















Mujhe Maloom He Ke Meri Zindagi Ke Gam
Kabhi Jane Wale Nahi,
Mai Intezar Krunga Unka Aakhiri Sans Tak
 Jo Kbhi Aane Wale Nahi,
Gair Mera Koi Nahi
Apno Ne Hi Muzhe Sataya He,
Itne Berahm He Wo
Apni Aadato Se Baaj Kabhi Aane Wale Nahi,
Jhuthe Pyar Ke Khel Me Har Bar Hi Wo Jeet Gaye,
Mgar Pyar Koi Khel Nhi,
Ye Unhe Koi Samzhane Wale Nahi,
Maut Pe Meri Jhuthe Hi Sahi Aansu Na Kisi Ke Mujhse Dekhe Jayege,
Aurr Wo Itne Sang-E-Dil He ‘Kumar’ Kiye Pe Apne Kbhi Pachhtane Wale Nahi…

Bina Dosto Ke
















College Ki Khali Seatein,
Ghadi Ghadi Teacher Ki Daante,
Bunk Mar Ke Canteen Jana,
Table Baja Ke Gaaney Gana.
Aaj Phir Lag Gayi Yaado Ki Jhadi,
Bina Dosto Ke Kya Jindgi.

Teacher Ki Wo Hamse Rukhai,
Hum Jo Kartey They Padahai Se Bewafai,
Sir Ka Har Baat Pe Samjhana,
Ab Sararat Ki To Dobara Class Me Baat Aana,
Wo Chemistry Ki Classey,
Aur Query Me Gilli Gilli Aankhey,
Sir Ka Batana “Padh Loo Warna,
Chemistry Ho Jayegi Bewafa
Subah Rati Shyam Ko Sapa”

Sir Ki Baat Pe Sar Hilana,
Phir Wapas Ussi Attitude Me Aa Jaana,
Exam Me Ek Dusrey Ka Muh Takna,
Jo Aata Nahi Uskey Liye Idhar Udar Jhankna,
Aur Musibat Ka Aana,
Dosto Ke Roll No. Ka Alag Alag Ho Jana,
Wo Mann Hi Mann God Ko Pukarna,
Ab Tujhey Hi Hai Iss Musibat Se Par Utarna,
Wo Aakhir Me Farewell Ka Aana,
Aur Phir Dosto Ka Alag Ho Jana,
Ek Dusrey Ke Galey Lag Kar Rona,
Aur Ek Dusrey Se Kehna “You are my beloved Friends OK”
Alag Ho Rahey Ho Par Mujhey Mat Bhulana,

Aaj Phir Lag Gayi Yaado Ki Jhadi,
Bina Dosto Ke Kya Jindgi

Tere Saath

















Tere Saath Hone Ka Ehsas Kuch Alag Hi Hota Hai,
Pyar Se Mujhse Ladne Ka Andaz Kuch Alag Hi Hota Hai,
Kuch Pal Khafa Rehna Phir Maan Jaana Bada Acha Lagta Hai,
Tumhara Saath Aur Hathon Me Haath Bada Acha Lagta Hai,
Jab Chale Jaate Ho Door Toh Sab Adhoora Lagta Hai,
Indra Dhanus Ke Rang Bhi Phike Lagte Hain,
Shayad Meri Duniya Ke Sab Rang Aap Se Hain,
Aap Se Duniya Ka Mela Aur Aap Hi Se Bagh Mehak Te Hain,
Aap Jo Nahi Toh Veerane Dehak Te Hain,
Shamshan Se Zindagi Aur Mout Ka Saaya Dikhte Hain,
Aap Ki Ek Jhalak Zindagi Hone Ka Ehsaas Hai,
Doobte Suraj Ki Jaise Miti Pyaas Hai....

Aur Na Tadpa

Gunah Hua Hai Mujhse Yeh Maana Maine,
Kya Thi Majboori Kya Kabhi Jaana Tumne,
Zakhm Tumko Mila Hai Per Dard Humko Hota Hai,
Apni Bawafai Per Dil Saari Saari Raat Rota Hai,
Kerdia Maaf Keh Ke Apna Gam Na Seene Mein Dabaya,
Suji Huyi Aankhe Aur Murjhaya Hua Chehra Humse Na Chupaya,
Kuch Ker Humper Raham Aur De Humko Saza,
Yuh Aansu Bahaker Hum Ko Aur Na Tadpa….

Tera Daaman Chahiye


Dil Ko Gam Aankho Ko Saawan Chahiye
Mujhe Tu Nahi Bas Tera Daaman Chahiye
Sirf Chehre Se Kaha Banti Hai Baat
Ishq Mein To Dil Bhi Roshan Chahiye
Samundar Mein Kashti Hai Apni Alag
Mujhe Us Taraf Ik Kinara Chahiye
Wo Ab Kuch Masoom Se Ban Ne Lage Hai
Kuch Mujhe Bhi Mera Bachpan Chahiye
Dil Ko Gam Aankho Ko Saawan Chahiye
Mujhe Tu Nahi Bas Tera Daaman Chahiye

Mere Jeene Ka Sahara Hai

Meri Zindagi Tere Hone Se Chalti Hai,
Din Ki Dhup Teri Muskurahat Se Khilti Hai,
Hansta Chehra Tera Mere Jeene Ka Sahara Hai,
Tum Bin Es Duniya Me Aur Kaun Hamara Hai,
Chand Sitaro Ke Khwahish Nahi Hamari,
Bus Yuhi Basti Rahna Sanso Mein Hamari,
Dariya Se Bada Dil Tumhara Jo Manti Duniya Sari,
Lafzo Mein Na Baya Ho Woh Sakshiyat Hai Tumhari,
Naaz Khuda Kerta Hai Kismat Pe Humari,
Jo Basti Ho Tum Meri Zindagi Me Banker Duniya Hamari…

Jee Chahta He

Bus Aab Tujhe Hi Chahne Ko Jee Chahta He,
Teri Yaado Me Kho Jaane Ko Jee Chahta He,
Laga Di He Tumne Aisi Ishq Ki Aag,
K Usi Me Jal Jaane Ko Jee Chahta He,
Koi Bhi Kaam Me Ab Dil Lagta Nahi,
Bus Subah Shaam Tumhara Hi Intezaar Karne Ko Jee Chahta He,
Honge Na Hum Kabhi Tujh Se Juda,
Ab To Ye Kasam Khaane Ko Jee Chahta He…