Saturday 21 July 2012

Dosti Shayri

Apki Pyari Si Dosti Kaise Bhul Jau,
Pal-Pal aapki Yadon Me Kyu Na Aau??
ey Dost apki Dosti Sabse Pyari Hai,
Phir apko Apni Yaad Kyu Na Dilau??

Pal-Do-Pal me hi milti hai khushi,
Pal-Do-Pal me hi milta hai,
gum.. Par jo har pal saath nibhaye,
aise DOST milte hai kam... Jaise ki “U” “ME” aur “HUM”.
Kabhie Khushi Kabhie Gham

Sabse alag sabse nayare ho tum,
Tareef kabhi puri na ho itne pyare ho tum,
aaj pata chala ki zamana kyu jalta hai humse…
kyuki dost to akhir hamre ho tum.

Aap ke dard-e-dil ka haal ban jayenge,
apke wafao ke misal ban jayenge,
ankho me ek ansu lakar to dekho,
uske girne se pehle hum rumal ban jayenge...

Imandari ki kamai Kam hoti hai,
Manzil pane ki jid ho to rahen choti hoti hai,
Naye dost chahe jitne banalo,
Purane Dosto ki baat kuch aur hoti hai..

Tum dost ho mere sada ke liye,
Main zinda hoon tumhaari waffa ke liye,
Kar lena laakho shikwa mujhse magar,
Na hona khafa Mujhse khuda ke liye...

A friend is like a “pitara”,
in which we can store our “problem sara”,
When the life becomes “khatara”…
then friend is “great sahara” Samjhe mere “yara”.

Har aarzo hamari adhuri nahi hoti,
doston me kabhi doori nhi hoti
jinke dil me rhte ho Dost aap jaise,
unhe dhadkan ki bhi jaroorat nahi hoti.

Yari ka ye silsila banaye rkhna...
Dost kehte ho to Dosti bnaye rakhna...
Jaan to nahi mangenge aap se.....
Par Guzarish hai ki Jaan k Jane tak Dosti banaye rakhna.!

No comments:

Post a Comment