Kya khabar tum ko dosti kya hai?
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai,
Khwahishon say bhara jazeera bhi hai,
Bohat anmol ik heera bhi hai,
Dosti ik haseen khwab bhi hai,
Pass say dekho tou sarab bhi hai,
Dukh milnay pe ye azab bhi hai,
Aur ye piyar ka jawaz bhi hai,
Dosti yoon tou maya jaal bhi hai,
Ik haqeeqat bhi hai khayal bhi hai,
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai,
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai,
Dosti jhoot bhi hai such bhi hai,
Dil main reh jaiay tou kassuk bhi hai,
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai,
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai,
Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai,
Wafa kia hai wafa bhi dosti hai,
Dil say nikli dua bhi dosti hai,
Bus itna samajh lo,
Payar ki inteha bhi dosti hai.
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai,
Khwahishon say bhara jazeera bhi hai,
Bohat anmol ik heera bhi hai,
Dosti ik haseen khwab bhi hai,
Pass say dekho tou sarab bhi hai,
Dukh milnay pe ye azab bhi hai,
Aur ye piyar ka jawaz bhi hai,
Dosti yoon tou maya jaal bhi hai,
Ik haqeeqat bhi hai khayal bhi hai,
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai,
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai,
Dosti jhoot bhi hai such bhi hai,
Dil main reh jaiay tou kassuk bhi hai,
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai,
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai,
Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai,
Wafa kia hai wafa bhi dosti hai,
Dil say nikli dua bhi dosti hai,
Bus itna samajh lo,
Payar ki inteha bhi dosti hai.
No comments:
Post a Comment