Saturday, 23 June 2012


Uski yaad mein guzarti meri har shaam thi,
Mere dil se nikli har dua uske naam thi.
Aab mujhko ilzam na do bewafai ka yaro,
Mere hathon ki lakeeron mein wafa aam thi.
Qadar poocho unse jo karte hain mohabbat ki pooja,
Sirf uski sheher mein mohabbat meri badnaam thi.
Apni jaan ka nazrana kaise pesh karta usko,
Uske ishq mein har saans jo meri neelam thi.
Kaise chhor dete zindagi k safar mein tanha usko
Uski baghr to meri zindagi gumnam thi..

Challenges Of Life



Smooth roads never make good drivers,
Smooth sea never makes good sailors,
Clear skies never make good pilots,
Problem free life never makes a strong & good person.
Have a tough, but winning day ahead.
Be strong enough to accept the challenges of life.

Dosti...

“IS Dosti”Ka Andaz Kuch Aisa hai,
kiya Batain k ab “Haal” kaisa hai,
“kaun”kehta hai k Aap”Chand”jaise ho,
“Sach”to ye hai k”Chand” Aap jaisa hai..

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Yeh dosti charag hai jalay rakhna
Yeh dosti khusbo hai mehkay rahhna
Ham rahein ap k dil mein hamesha k lia
Itne jaga dil mein hamare liye banae rakhna…

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Ek Döst Méri Zindgi Méin Aisä Häi”
“Möhäbätön Ki Trhä Häi Wäfäön Jäisä Häi”
“Méri Täläsh Ki Häd Us Pr Khätm Hö Jäyé”
“Zäméèn Pr Häi Wö Mgr Asmään Jäisä Häi”

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Dosti gazal hai gane ke liye,
dosti nagma hai sunane ke liye,
ye wo jazba hai jo sabko nahi milta,
kyonki aap jaisa Dost chahiye nibhane ke liye

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Friday, 22 June 2012

dil main chupa rakha hai...


Teri yaad ne mere dil ko saja rakha hai
tere pyar main sab ko bhula rakha hai
kuch achha nahin legta teri judai ke baad
ek teri yaad ko sine se laga rakha hai
tera milna to abb eik khwab hi lagta hai
najane abb kyuin dil ko bhula rakha hai
sab kuch lut gaya hamara teray pyar main
teri yaad ko palkon main chupa rakha hai
muqadar se miltey hain bichar ke warna
ajj bhi tera naam dil main saja rakha hai
najane koi nahin basta tere siva ankh main
aik teri tasveer ko dil main chupa rakha hai ”

yaadein..



”YAADON” ko bhulane main kuch dair to lagti hai..
”ANKHON” ko sulany main kuch dair to lagti hai..
Kisi ”SHAKHS” ko bhula dena itna aasan nahi hota..
”DIL” ko samjhany main kuch dair to lagti hai..
Bhari ”MHAFIL” main jab koi achanak yaad aa jay..
Phir ”Aanso” chupany main kuch dair to lagti hai..
Jo shakhs ”JAAN” se b pyara ho achanak door ho jay..
Dil ko ”YAQEEN” dilany main kuch dair to lagti hai.

Thursday, 21 June 2012

Nahi Milte...

Nazre to milti  hai magar dil nahi milte
Har kisi se zindgi main ishq  ke afsane nahi  bante
Ho jaye kisi ko dekh kar pyaar
Zindgi main aise log asani se nahi milte
Mil jate hai jahan main dil lagane wale kai
Magar jo door tak saath de vo deewane nahi milte
Tut jate hai rishte jahan main chand galatfahamiyo  se
Jo dunia se anjan hame chahe vo dilbar nahi milte
Roshni  main to dete hai saath sabhi magar
Jo andhero main tham ke haath chale vo rahguzar nahi  milte
Tod dete hai  dikhakar sapne aksar  log yahan magar
Jo tute huye sapno ko jod de vo saudagar  nahi  milte
Hasa kar zindgi ko rula dete hai log yahan magar
Jo rula kar hasa de vo shaksh nahi milte
Zindgi  yu to bulbula hai paani ka magar
Us bulbule ko aasmaa ki  bulandiyo par pahucha de vo sahare nahi milte
Tut jata hai haseen khab zindgi ka aksar
Jo un tute huye khabo ko seene se lage le vo dildar nahi milte
Ud jate hai rang zindgi se surkh hokar
Jo un rango ko dobara la le aye vo rangeen nazare nahi milte

Na Bhulne Ka Waada Karo...

Khusbuo’n Ki Tarha Meri Har Saans Mein
Pyar Apna Basane Ka Waada Karo,
Rang Jitne Tumhari Mohabbat Ke Hai
Mere Dil Mein Sajane Ka Waada Karo.
Hai Tumhari Wafaon Pe Mujhko Yaqeen,
Phir Bhi Dil Chata Hai Mere Dil Nasheen,
Yunhi Meri Tasalli Ki Khatir Zara,
Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo.
Jab Mohabbat Ka Iqrar Karte Ho Tum,
Dharkano Mein Naya Rang Bharte Ho Tum,
Barha Kar Chuke Ho Magar Aaj Phir,
Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo.
Sirf Lafzon Se Iqraar Hota Nahin,
Ik Janib Se Hi Pyar Hota Hai,
Mai Tumhe Yaad Rakhne Ki Khaun Kasam,
Tum Mujhko Na Bhulne Ka Waada Karo…

Wednesday, 20 June 2012

bohat hai....

Mujhe us shakhs ki parwah bohat hai,
Jo samajh lo to yehi rishta bohat hai.
Wohi ek baat jo sab se chupayi,
Ussi ek baat ka charcha bohat hai.
Na milne ki qasam kha ke bhi main ne,
Tujhe har raah mein dhoondha bohat hai.
Ye aankhein aur kya dekhein kisi ko,
In aankhon ne tujhe dekha bohat hai.

Aisi Ho....

Asar dil par kare, shikwa shikayat ho to aisi ho
Gale lag kar koi roye, nadamat ho to aisi ho
Yehi mehsoos ho jaise ke sadiyaan guzri hain
Faqat ek pal ki judai me, taqlif ho to aisi h0
Mujhe kaanta chubhe aur uski aankhon se lahu nikle
                                                Talluq ho to aisa ho, mohabbat ho to aisi ho.

saath nibhate rehte hain....

Kitne fasane is duniya mein yunhi ban jate hain
Ajanbi musafir ek rishta bana jate hain
Zindgi mano ek lamba safar hai
Jisme kuch ankahe rishte ban jate hain
Un rishton mein kuch waqt ke saath choot jate hain
Aur kuch waqt ke saath mazboot ban jate hain
Inhi rishton mein ek rishta hamara
In khoobsurat rishton ke ehsaas kuch gehre ho jate hain
Kehne ko to hum sirf dost hain
Par rishta pyar se badhkar hain
Jise chaho wo shayad chod jaye hume
Par sache dost sada paas rehte hain
Zindgi mein gham aur khushi to aati rehti hain
Har pal utar-chadaav hote rehte hain
Par jo dil se dost hote hain
Woh har waqt saath nibhate rehte hain

jahan me mera koi nahi...

Meri Saadgi hi Mera Jurm hai
koi aur meri khata nahi
Maine to Chaha tha sada usko
koi aur meri khata nahi
jane kaisi ab hawa chali hai
Rahi doston me wafa nahi
Yahan jal gaya mera aashiyana
Abhi baadlon ko pata nahi
Tere darr par dastak de sakun
yeh haq to tumne diya nahi
Main raahi hoon raah-e-ummid ka
Mujhe manzilon ka pata nahi
Bebas hoon jahan me is qadar
jaise is jahan me mera koi nahi

A Friend

A friend is the one who tells you the truth
regardless of the cost,
A friend will help you find the thing's
you'd given up as lost

A friend will never put you down
or make you feel alone,
He'll smile and try to comfort you
'cause together you have grown

A friend is the one who picks you up
when you've fallen on the ground,
A friend is the one whose voice at night
is a welcome, warming sound

So when you think you're on your own
and wish you had a helping hand,
Remember, a friend is the one who,
when you cry, will always understand

Because the world is full of people
who will laughingly pretend,
But, when it's said and done
you're lucky if you've got a friend

Koi Mil Gaya...!!!!

"Rishta ye dil ka dil se mila hai"
"Koi paraaya nahi apna mila hai"
"Tanha the zindagi ke safar me hum"
"Tum mile to jaise kaarwan mila hai"
"Dil me chubhte the kaante kabhi"
"Aaj unse koi gulaab khila hai"
"Tum jo mil gaye hamen sab kuch mil gaya"
"Kaisa shikwa khuda se kaisa gila hai"
"Janam din ki khushiyan mubarak ho tumhen"
"Har tamanna ho poori dil ki ye dua hai"

Dosti

Ummeed ki kashti ko koi duba nahi sakta…
Roshni k diye ko koi buja nahi sakta…
HUMARI DOSTI to TAJMAHAL ki tarah hai 

Jise koi dusra bana nahi sakta.
........................................................
Kismat se milte hain Dost aur Dosti koi Khoj nahi hoti,
Dosti Rishta hai Janmo ka aur har kisi se Roj nahi hoti,
Apni Zindgi me Humari Maujudagi ko Bewajah mat samajhna,
Kiyo ki Palke kabhi bhi Ankhon pe Bojh nahi hoti
.........................................................
Dosti chirag hai yuhi jalaye rakhna,
Dosti gul hai yuhi khilaye rakhna.
Hum rahe na rahe iss jahan me...
Humari yaad yuhi dil me basaye rakhna.!
..........................................................
Yado se zindgi khubsurat rahegi,
mere Nigaho me har pal apki surat rahegi,
Koi chiz nahi Le sakegi kabi apki jagah,
Is bande ko humesa aapki zarurat rahegi..
..............................................................
Apki Pyari Si Dosti Kaise Bhul Jau,
Pal-Pal aapki Yadon Me Kyu Na Aau??
ey Dost apki Dosti Sabse Pyari Hai,
Phir apko Apni Yaad Kyu Na Dilau??
...............................................................
Pal-Do-Pal me hi milti hai khushi,
Pal-Do-Pal me hi milta hai,
gum.. Par jo har pal saath nibhaye,
aise DOST milte hai kam... Jaise ki “U” “ME” aur “HUM”.
Kabhie Khushi Kabhie Gham

Tuesday, 19 June 2012

TRUST

What is trust?
Who can we trust?
Can we trust our loved ones?
Can we trust each other?
Do we need to earn trust?
Can I trust you with a secret?
Can we trust our police force?
Can we trust our political masters?
Can we trust what we hear?
Can we trust our eyes?
Can we trust the camera to never lie?
Is trust very important to you?
Without trust what do we have?
Can we trust our landlords?
Can we trust our children?
Can we trust our friends?
Without trust, there can be no friendship.
Without friendship, there can be no trust.
Do you trust me?
Is trust the most important factor in a relationship?