Friday, 3 August 2012

Maa


Maa Tere Bina

Khwabon Ki Tasveer Dekta Hun Unki Aankhon Mein
Chaand Ki Roshni Ko Mehsoos Karta Hun Unki Panahon Mein
Main Kya Hun Is Zindagi Mein Meri Pehchaan Hai Kya
Tere Naam Se Judi Har Saans Keh Rahi Hai Sada
Meri Maa Tere Bina Duniya Kitni Sooni Sooni Hai
Jeena Tere Bin Yahan Bas Meri Majboori Hai…

*******

Maa Se Itna Pyaar

Dekhun Jo Teri Aankhon Ko Mera Har Sapna Jaag Jaaye
Sunoo Jo Teri Baaton Ko Kuch Jajba Bas Jaaye
Chahun Main Aur Kya Is Zindagi Se
Mangu Main Aur Kya Us Khuda Ki Roshni Se
Jo Maa Tujhse Itna Pyaar Mil Jaye…

*******
 
Maa Ki Mamta

Maa Se Pyara To Koi Bol Ho Nahi Sakta,
Maa Ki Mamta Ka Koi Mol Ho Nahi Sakta,
Khud Nahi Khati Hai Bachcho Ko Khila Deti Hai,
Waqt Pe Thapkiya De De Sula Deti Hai,
Sach To Ye Hai K Wo Shhaqs Hai Sabse Gareeb,
Maa Ka Saaya Hota Nahi Jise Duniya Me Nasseeb,
Zakhm Jab Bacche Ko Lagta Hai To Maa Roti Hai,
Aisi Nisbat Kisi Aur Rishte Me Kahan Hoti Hai…

*******

Zindagi















Chaader Pe Padi Ek Salwat He Zindagi
Kahin Dile-Dariya Kahin Khatpat Hai Zindagi
Kabhi Hasaati Hai Kabhi Rula Deti Hai
Sambhal Ke Chalna Badi Natkhat He Zindagi
Kabhi Yun Hi, Kabhi Bamushkil Milta Nahin Sakun
Jiyo To Hass Ke Jiyo Varna Marghat Hai Zindagi
Jise Dekhe Bina Na Kat-Ta Tha Ik Pal
Hui Shaadi Usi Se To Badi Jhanjat Hai Zindagi
Saawan Ki Bauchhaar Kabhi Jayeshth Ki Tapish
Gauri Se Ho Milan To Panghat Hai Zindagi

Tujhe Khona Nahi Chahta Maa

Zindagi Mein Kuch Paya Aur Kuch Khoya
Lekin Tujhe Khona Nhi Chahta Maa
Zindagi Ne Kabhi Hasaya Aur Kabhi Rulaya
Lakin Tujhe Rulana Nhi Chahta Maa
Yaad Aati Hai Bahot Tere Bachpan Ki Wo Lory
Isi Liye Teri God K Elawa Kahin Aur Sona Nhi Chahta Maa
Kitna Daanta Tha Tune Bachpan Mein
Ab Q Nhi Daandti Tu Mujhe Maa
Kaise Zinda Reh Paunga Main Tere Baghair
Kabhi Fursat Mile Mujhe Tu Ye To Bata Maa
Zindagi Tune To Meri Roshan Kar Di
Lekin Khud Kiss Andhere Mein Kho Gayi Tu Maa
Kabhi To Khila Mujhe Apne Hath Ki Roti
Aaj Kal Bhukh Bahoth Lagthi Hai Mujhe Maa
Kahaan Ho Tum, Aa Kar Lagalo Gale Iss Bebas Prince Ko
Na Jane Kis Kaash Main Nikal Jaye Meri Saans Maa…

Mera khadoos bhai

Dekho mera khadoos bhai
Sometimes lagta mujhe ksaai
Jab se main duniya mein aai
saari khushiyaan maine paai
meri aage ki duniya bhai
tune hi hai mujhe dikhai
Mujhko roz tease krte
roz maar kar jate ho
ye sab kiye bina kya apna
din poora nahi paate ho
roz naam karan hota mera
roz batti khati hu
us time teri shakl dekh
sorry hasi rok nahi paati hu
har baat par tark or example
tere paas kyu hota hai
god ne mujhe b to sundar sa dimag diya
sala wo kyu itna mota hai
tera to aaj b'day hai
ja yaaran de naal enjoy kr
meri b'ful kabita pdh k
u na apni aankhe bhr
saari feelings daalne ki
koshish maine ki nahi
kahe se ki apan ko tu
gusse hi mein lagta sahi
ka phaayda abi bhavuk ho jao
handsome bhai ki poem mein kho jao
aankhe tohri num ho jaye
mereko usda ghum ho jaye
tohra to khair muh hi aisa hai
par kya hoga agar alwz hasne wali behan ro jaye
chhad sab gallan baatan
lo again bhade da chhata
baarish mein ghummi krke aao
meri bakwas kavita mein
apna dimaag na pkao

Wednesday, 1 August 2012

Bas Ek Choti Si Haan Kar Do


Bas Ek Choti Si Haan Kar Do,
Humare Naam Is Tarha Sara Jahan Kar Do!
Wo Mohbtain Jo Tumhare Dil Mein Hain,
Unko Zuban Pr Lao 0r Bayan Kar Do!
Aaj Bs Ap Kaho 0r Kehty Hi Jao,
Hum Bas Sunein Aisa Be-Zuban Kar Do!
Huyi Purani Dastan Heer Ranjha Ki,
Tareekh Mohabat Ki Phir Se Jawan Kar Do,
Aa-Jao K Aisa Toot Kr Chahoon Tumhain,
Hmari Mohabat Ko Mohabat Ka Nishan Kar Do!
Apne Dil Mein Is Tarha Chupa Lo Mujh Ko,
Rahoon Hmesha Is me aisa Mera Makan kar do.

Dhundhli Si Ek Yaad




Dekha Hua Sa Kuch Hai To Socha Hua Sa Kuch
Har Waqt Mere Sath Hai Uljha Hua Sa Kuch

Hota Hai Yun Bhi Rasta Khulta Nahi Kabhi
Jungle Sa Fael Jata Hai Khoya Hua Sa Kuch

Sahil Ki Gili Ret Per Bachon Ke Khel Sa
Har Lamha Mujhme Banta Hai Bikhrata Hua Sa Kuch

Fursat Ne Aaj Ghar Ko Sajaya Kuch Is Tarah
Har Shai Se Muskurata Hai Rota Hua Sa Kuch

Dhundhli Si Ek Yaad Kisi Kabr Ka Diya
Aur, Mere Aas-Paas Chamakta Hua Sa Kuch

Ehsaas Ki Khushboo Kahan, Aawaz Ke Jugnoo Kahan
Khamosh Yaadon Ke Siva, Ghar Mein Raha Kuch Bhi Nahi

Tere Siva Kuch Bhi Nahi

Socha Nahi Acha Bura, Dekha Suna Kuch Bhi Nahi
Manga Khuda Se Raat-Din, Tere Siva Kuch Bhi Nahi

Socha Tujhe, Dekha Tujhe, Chaha Tujhe, Pooja Tujhe
Meri Wafa Meri Khata, Teri Khata Kuch Bhi Nahi

Jis Per Humari Aankh Ne Moti Bichaye Raat Bhar
Bheja Vahi Kagaz Use, Humne Likha Kuch Bhi Nahi

Ik Sham Ki Dehleez Per Baithe Rahe Voh Der Tak
Aankhon Se Ki Baatein Bahut Moonh Se Kaha Kuch Bhi Nahi

Do Char Din Ki Baat Dil Khak Mein So Jayega
Jab Aag Per Kagaz Rakha, Baki Bacha Kuch Bhi Nahi

Wo Din. .

Muskurate The Jo Hum To Sama Roshan Ho Jata Tha
Lagte The Jo Doston Se Gale To Rom Rom Khil Jata Tha
Waqt Bhi Na Jaane Kuch Palon Mei Simat Jata Tha
Bewajah Hasne Ka Silsila Aksar Suru Ho Jata Tha…

Khwaab Ko Palkon Pe Sajakar
Doston Ke Saath Kadam Se Kadam Milakar
Bewajah Hi Hum Nikal Padte The
Besaq Aate The Kuch Kam Paise Ghar Se
Par Wo Bhi Bahut Lagte The…

Dil Bhi Aksar Kisi Ko Dekhkar Aahen Bharta Tha
Uska Chehra Har Waqt Khwabon Mei Sajta Tha
Muskurati Thi Wo To Sara Gulshan Mehakta Tha
Par Na Jaane Kyun Dil Kuch Kehne Se Darta Tha…

Aati Jo Thi Exams Ki Date Kareeb To Khamoshi Cha Jaati Thi
Har Kahin Paper Leak Hone Ki Afwahen Sunai Pad Jaati Thi
Paper Hamesha Acche Hi Na Jaan Kaise Ho Jaate The
Bas Uske Baad To Masti Se Baaki Din Bitaate The…

Aksar Abhi Bhi Khayalon Mei Wo Din Yaad Aate Hain
Bewajah Hi Lub Khud B Khud Muskura Jaate Hain
Hum Bhi Kuch Pal Ke Liye Hi Sahi Tension Bhool Jaate Hain
Apne Aap Ko Kisi Jaanat Ki Duniya Mei Paate Hain…