Thursday, 6 September 2012

Dosti 5

Sabse alag sabse nayare ho tum,
Tareef kabhi puri na ho itne pyare ho tum,
aaj pata chala ki zamana kyu jalta hai humse…
kyuki dost to akhir hamre ho tum.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Aap ke dard-e-dil ka haal ban jayenge,
apke wafao ke misal ban jayenge,
ankho me ek ansu lakar to dekho,
uske girne se pehle hum rumal ban jayenge...
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Imandari ki kamai Kam hoti hai,
Manzil pane ki jid ho to rahen choti hoti hai,
Naye dost chahe jitne banalo,
Purane Dosto ki baat kuch aur hoti hai..
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Tum dost ho mere sada ke liye,
Main zinda hoon tumhaari waffa ke liye,
Kar lena laakho shikwa mujhse magar,
Na hona khafa Mujhse khuda ke liye...
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
A friend is like a “pitara”,
in which we can store our “problem sara”,
When the life becomes “khatara”…
then friend is “great sahara” Samjhe mere “yara”.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Har aarzo hamari adhuri nahi hoti,
doston me kabhi doori nhi hoti
jinke dil me rhte ho Dost aap jaise,
unhe dhadkan ki bhi jaroorat nahi hoti.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Yari ka ye silsila banaye rkhna...
Dost kehte ho to Dosti bnaye rakhna...
Jaan to nahi mangenge aap se.....
Par Guzarish hai ki Jaan k Jane tak Dosti banaye rakhna.!
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Sapno Ki Tarh Saja Kar Rakhnge,
Chandni Raat ke Nazro Se Chupa Kar Rakhnge,
Agar Meri Taqdir Hui Mere Sath To...
Zindgi Bhar Apko Yuhi Apna Dost Bana Kar Rakhnge!
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Ye rishta hai apka ya rishto me aap ho,
ye yaad hai aapki ya yaado me aap ho,
jante nhi hum bus itna bata do ki.....
aap Dost ho humare ya Dosti ka matlab hi aap ho???
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Dil ki dhadkan se ehsas tumhara hota hai,
thame koi hath to vo hath tumhara hota hai,
chalti hai hawaye to vo pyar tumhara hota hai,
mere dost meri har baat mai ab sirf zikar tumhara hota hai.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Love (D)


Dil Ki Nagri Hai Udas Tere Bin,
Bujhti Nahin Aankhon Ki Pyas Tere Bin,
Zindgi Mein Sailaab Hai,
Karu Kaise Khushiyon Ki Talaash Tere Bin !
> > > > >
Chhup Chhup Kar Hume Dekha Karte Ho,
Be-wafa Keh kar Budnaam Karte Ho,
Aana Hai Agar Toh Aa Jao Paas,
Kyo kisi Bahaane Ka Intezar Karte Ho !
> > > > >
Chalo Chalte hain us Jahan me,
Jahan Rishton ka naam nahi Liya Jaata,
Dhadkanon Par koi Bandish nahi
Khwabon Par koi Ilzaam nahi Diya Jaata.
> > > > >
Aakho Ko Ashk Ka Pata NaChalta
Dilko Dard N Hota
Hasin Hota ZindgiKa Safar
Agr Milkar Bichdna NaHota
> > > > >
Rasto Me Patharo Ki Kami Nahi He
Dil Me Tute Hue Sapno Ki Kami Nahi He
Hum Chahte He Unko Apna Banana Par
Unke Pas Apno Ki Kami Nhi He
> > > > >
baat phoolon ki suna karte the
hum kabhi sher kaha karte the
mashaal leke tumhare gham ki
hum andhero me chala karte the..
> > > > >
Dard Me Chahat Nahi Sitaro Ki,
Tmanna Adhuri Hai Hazaro Ki,
Woh Waqt Se Pehle Hi Tera Chale Jaana,
Hasrat Hi Reh Gayi Tujhe Gale Lagaane Ki.

Teri CHAHAT Me Hum Zamaana Bhul Gaye
Kisi Aur Ko APNANA Bhul Gaye,
Tumse MUHOBBAT Hai Bataaya Sare Jaha Ko
BUS Ek Tujhe Hi BATANA Bhul Gaye.

Nikal Aye Hai Aansu RONE Se Pehle,
Toot Jate Hai Sb Khwab SONE Se Pehle,
Kehte Hain K Pyar ek SAZA Hai,
Kash Koi ROK Sakta ise Hone Se Pehle.
> > > > >
Dil ke dard ko chupana mushkil hai,
Tut ke phir muskurana mushkil hai,
Door jab chalo kisi ke saath to phir,
Tanha aana kitna mushkil hai!
> > > > >
Dard Me Chahat Nhi Sitaro Ki
Tamnnaye Adhuri H Hazaro Ki
Wo Waqt Se Pehle Hi Tera Chale Jana
Hasrate Hi Reh Gyi Tujhe Gale Lgane Ki.
> > > > >
DiLse diL ki duri nhi hoti
Kash koi mzburi nhi hoti
tum miLne ki tamanna he
Lekin Kehte he hr tamana puri nhi hoti.
> > > > >

Hume to apno ne luta gairo me kaha dum tha..

Hume to apno ne luta gairon me kahan dam tha,
meri haddi waha tooti jaha hospital band tha,
Hume us ambulance me dala gaya jisme petrol kam tha.
Rikse me isliye le gaye kyoki uska bhada kam tha.
Hume doctoro ne uthaya nurs me kaha dum tha.
Hume us bed pe litaya jiske niche bamb tha.
Hume bumb ne mara goliyo me kaha dum tha.
Hume sadak pe dafnaya kyuki smasaan me function tha...
Hume to apno ne luta gairo me kaha dum tha..

Wednesday, 5 September 2012

Fanaa. .


Tere dil mein meri saanson ko jagah mil jaaye
tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaaye
>>>>
adhoori saans thi dhadkan adhoori thi adhooren ham
magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain ham..
    >>>>
Aag suraj main hoti hai ,
Jalna dharti ko padta hai
 mohabbat aankhen karti hain ,
tadapna dil ko padta hai
>>>>
Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai
>>>>
Phool hun Gulaab ka
Chameli ka mat samjhna
Aashiq hun aapka
Apni Saheli ka mat samjhna
 >>>>
Dur Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,
Khud Apni Saanxon Ko Rok Paoge Kaise..
 >>>>
Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karte
 >>>>
RONE DE TU AAJ HAMAKO TU AANKHE SUJANE DE
BAHO ME LELE AUR KHUD KO BHEEG JANE DE
HAI JO SEENE ME QUAID DARIYA WO CHUT JAYEGA
HAI ITANA DARD KI TERA DAMAN BHEEG JAYEGA..
>>>>

Mujhe FANAA Karde.

E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.

Jab yahi jeena hai to phir Marna kya hai

Shaher ki is daud me daud ke karna kya hai?
Jab yehi jeena hai dosto to phir marna kya hai?
Paheli barish me train late hone ki fikr hai
Bhul gaye bhigte hue tahelna kya hai?
Serails ke kirdaaro ka saara haal hai malum hai
par maa ka haal puchhne ki fursat kise hai?
Ab ret pe nage pao tahelte kyu nahi?
108 hai chanel phir dil bahelte kyu nahi?
Internet ki duniya ke to touch me hai,
lekin pados me kon raheta hai jaante tak nahi.
Mobile, Landline sab ki bharmaar hai,
Lekin jigri dost tak pahuche aise taar kaha hai?
Kab dubte hue suraj ko dekha tha yaad hai?
Kab jaana tha shaam ka woh banana kya hai?
To Dosto Shaher ki es daud me daud ke karna kya hai
Jab yahi jeena hai to phir Marna kya hai

Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai

Jab-Jab Dard Ka Baadal Chaya
Jab Gham Ka Saya Lehraya
Jab Aansoo Palkon Tak Aya
Jab Yeh Tanha Dil Ghabraya
Humne Dil Ko Yeh Samjhaya
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai

Duniya Mein Yunhi Hota Hai
Yeh Jo Gehre Sannaate Hain
Waqt Ne Sabko Hi Baante Hain
Thoda Gham Hai Sabka Kissa
Thodi Dhoop Hai Sabka Hissa
Aankh Teri Bekaar Hi Nam Hai
Har Pal Ek Naya Mausam Hai
Kyun Tu Aise Pal Khota Hai
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai

Zinda Ho Tum

Dilon Mein Tum Apni Betaabiyan Leke Chal Rahe Ho, Toh Zinda Ho Tum
Nazar Mein Khwabo Ki Bijliyan Leke Chal Rahe Ho, Toh Zinda Ho Tum

Hawa Ke Jhokon Ke Jaise Aazad Rehna Seekho
Tum Ek Dariya Ke Jaise Lehron Mein Behna Seekho
Har Ek Lamhe Se Tum Milo Khole Apni Baahein
Har Ek Pal Ek Naya Samaa Dekhiye

Jo Apni Aankhon Mein Hairaniya Leke Chal Rahe Ho, Toh Zinda Ho Tum
Dilon Mein Tum Apni Betaabiyan Leke Chal Rahe Ho, Toh Zinda Ho Tum

Pighle Neelam Sa

Pighle Neelam Sa Behta Ye Sama
Neeli Neeli Si Khamoshiyan
Na Kahin Hai Zameen Na Kahin Aasmaan
Sarsaraati Hui Tehniyaan-Pattiyaan
Keh Rahi Hain Bas Ek Tum Ho Yahan
Bas Main Hoon, Meri Saanse Hain Aur Meri Dhadkane
Aisi Gehraiyaan, Aisi Tanhaiyaan, Aur Main… Sirf Main
Apne Hone Par Mujhko Yakeen Aa Gaya