Saturday, 25 August 2012

Love (B)

Dil k bazar me daulat nahi dekhi jati.
Pyar ho jaye to surat nahi dekhi jati.
Ek insan per luta do zindgi apni,
Pasand ho chiz to kimat nahi dekhi jati.
>>>>>>>
Teri ulfat ko kabhi naakam na hone denge,
Teri dosti ko kabhi badnam na hone denge,
Meri zindegi me suraj nikle na nikle,
Teri zindegi me kabhi sham na hone denge.
>>>>>>>
Aapke pyar ko ehsan mante hai,
ise nibhana apna iman mante hai,
lekin hum wo nahi jo Pyar me apni jaan de,
kyun ki aapke Pyar ko hum apni jaan mante hai
>>>>>>>
Beegi ankho se muskurane me maza aur he,
Haste haste palke bheegane me maza aur he,
Bat kehke to koi bhi samjleta he,
Koi khamoshi ko samje to maza aur he.
 >>>>>>>
Be imteha mahobbat he aapse batau to kese !
Khafa ho aap hamse Manau to kese…
Kuch dil se kahena chahte he ham…
Magar alfazo baya karu to kese…..!!
 >>>>>>>
 Us rab ne diya hai saath tumhara,
aap ke pyar se kam nahi pyar humara,
koi tamanna nahi hai ek khwahish ke siva,
na tum rutho na kabhi choote ye saath humara.
>>>>>>>
Muskilon Se Ghirkar Bhi Kabhi Aapka Saath Na Chhodenge,
Agar Qayamat Bhi Aayegi Kisi Mod Pe To Uska Rukh Modenge,
Yun To Hum Kabhi Kisi Se Kabhi Wada Nahin Kiya Karte,
Par Aapse Kiye Huye Har Ek Waade Ko Kabhi Na Todenge…
>>>>>>>
Ek pal ka saath aapka dil choo jata hai,
jaane ke baad aapke yeh pal bohot yaad aata hai,
dil na jane kyu samajh nahi pata hai,
kaise koi ajnabi apna ban jata hai.
>>>>>>>
Gehrayi Pyar Me Ho To Bewafai Nahi Hoti,
Sache Pyar Me Kabhi Tanhai Nahi Hoti,
Pyar Jara Sambhal Ke Karna,
Pyar Ke Zakhm Ki Koi Dawai Nahi Hoti…
>>>>>>>
Khawab Bikhre To Hakikat Samajho,
Koi Apna Roothe To Mohabbat Samajho,
Door Rehkar Jo Yaad Aaye Use Chahat Samajho,
Jise Chaho Wo Mil Jaye To Kismat Samajho.
>>>>>>>
Jab dil tut ta hai to awaz nahi aati,
Mohabbat har kisi ko ras nahi aati,
Ye to apni apni baat hai yaaro koi to bhula nahi pata,
Aur kisi kisi ko yaad nahi aati.
>>>>>>>

Love (A)


Tumse Vaada Kiye Bina Bhi Tumhara Intzaar Karte Hain,
Tumhari Judai Se Badhkar Bhi Tujhe Pyar Hum Karte Hain,
Tumhare Chahre Ki Udasi Ab Bhi Hume Bata Rahi Hain,
Mujhse Milne Ke Liye Tumhare Bhi Dil Beqarar Karte Hain.
>>>>>
teri shikayten pyari lagti hai
jaan se kimti teri yaari lagti hai
sambahl kar rakhna apni dhadkano ko
kyuki teri dhadkane hume humari lagti hai.
>>>>>
Zindgi Ko Maine Thukra Diya Hota
Khud Ko Bhi Mita Diya Hota
Is Dil Mein Yadein Hain Aap Ki
Warna Is Dil Ko Bhi Jala Diya Hota
>>>>>
Baaho mein teri aaj bikhar jane de,
Mehki sanso mein mujhe utar jane de,
Raat tanha aur sard mosam hai,
Aaj apni sanso mein mahak jane de.
>>>>>
Pyar zindgi ko sajane ke liye hai,
zindgi dard badhane ke liye hai,
kash koi to padh pata meri udasi ko,
ye hasta hua chehra to sirf dikhane ke liye hai.
>>>>>
Chand ki chandni sayad madh-dham pad jaye,
Fulo ki khusbu sayad fiki pad jaye,
Per hamara rishta rahe sari jindgi,
Shayad jindgi ke lamhe kam pad jaye.
>>>>>
Aaj jarurat hai jiski wo paas nahi hai,
Ab unke dil me wo ehsas nahi hai,
Tadapte hai do pal baat karne ko,
Shayad ab waqt hamare liye unke paas nahi hai.
>>>>>
Zindgi ka koi ahsas etna pyara na hota.
Agar apki yaado ka sahara na hota.
Hum khud ko khusnasib kah nahi pate,
Agar aap jesa dost hamara na hota.
>>>>>
Uske Haath Ki Kash Mai Wo Lakeer Ban Jaun,
Uska Muqadar, Uska Naseeb, Uski Taqdeer Ban Jaun
Mai Usse Itne Chahun K Wo Bhool Jaye Har Rishta
Mai Hi Uske Har Rishtey Ki Tasveer Ban Jaaun... ?
>>>>>

Sukriya Doston. . .

Kis Tarah Se Shukriya Kahe Aapko,
Zameen Se Utha Kar Dil Mein Bitha Liya

Nazron Mein Sama Kar, Palkon Pe Jagah Diya
Itna Pyaar Diya Aapne Doston,

Mere Bikhre Shabdon Ko Kavita Bana Diya.
Tanha Mesus Karte They Har Waqt Khud Ko

Itne Logon Ne Ab Humen Dost Bana Liya
Gum Tha Mera Naam Jaane Kis Bheed Mein

Shukriya Hai Aap Sab Ka Jo,
Is Anjaan Ladke Ko Apna Bana Liya.

Kushi Mili To Hanste Hai Sab
Gam Mile To Rote Hai Sab

Shukriya Aapka Aapne To Humen,
Gam Mein Bhi Muskurana Sikha Diya.

Yeh Zaroori To Nahi Hum Muskurate Hai Har Waqt To,
Khushiyan Hi Khushiyan Hai Humare Daaman Mein

Shukria Aapka, Humne Aap Ke Hi To Sahaare,
Apne Dil Ko Dard Chupaana Sikha Diya