Saturday, 9 February 2013

Humko mohabbat hai zindgi se

Apno se juda kar deti hai,
Aakhon mein paani bhar deti hai,
Kitni shikayat hai zindgi se.
Phir bhi iska aitbaar hai,
Phir bhi iska intzaar hai,
Humko mohabbat hai zindgi se.
Kabhi khushiyon ka mela lagta hai,
Kabhi har koi akela lagta hai.
Kabhi humpe karam pharmati hai,
Kabhi humse nazar churati hai.
Palkon se isko chakhte hain,
Isey pass hi apne rakhte hain,
Itni nazakat hai zindgi se,
Humko mohabbat hai zindgi se.
Humko adaayein dikhati hai ye,
Jeena bhi humko sikhati hai ye.
Kabhi paas hai to kabhi door hai,
Ye zindgi bhi badi mashhoor hai.
Kabhi karti hai aankh micholi,
kabhi sajaye sapno ki doli,
Itni shararat hai zindgi se.
Humko mohabbat hai zindgi se.
Door ye ho to ghum hota hai,
Pass ho to iska karam hota hai.
Khud apni marzi se chalti hai,
Suraj ki tarah se ye dhalti hai.
Isey jab bhi hum dekhte hain,
Mann hi mann ye sochte hain,
Kitni hifazat hai zindgi se.
Humko mohabbat hai zindgi se.
Aansu bhi ho to pee lete hain,
Pal do pal khushi se jee lete hain.
Har pal humko nahi hai roka,
Thoda humko bhi deti mouka.
Zindgi gujar jaaye taqraar mein,
Chahe gujar jaaye ye pyaar mein,
Itni izazat hai zindgi se.
Humko mohabbat hai zindgi se.