Monday, 16 July 2012

Mere Jeene Ka Sahara Hai

Meri Zindagi Tere Hone Se Chalti Hai,
Din Ki Dhup Teri Muskurahat Se Khilti Hai,
Hansta Chehra Tera Mere Jeene Ka Sahara Hai,
Tum Bin Es Duniya Me Aur Kaun Hamara Hai,
Chand Sitaro Ke Khwahish Nahi Hamari,
Bus Yuhi Basti Rahna Sanso Mein Hamari,
Dariya Se Bada Dil Tumhara Jo Manti Duniya Sari,
Lafzo Mein Na Baya Ho Woh Sakshiyat Hai Tumhari,
Naaz Khuda Kerta Hai Kismat Pe Humari,
Jo Basti Ho Tum Meri Zindagi Me Banker Duniya Hamari…

Jee Chahta He

Bus Aab Tujhe Hi Chahne Ko Jee Chahta He,
Teri Yaado Me Kho Jaane Ko Jee Chahta He,
Laga Di He Tumne Aisi Ishq Ki Aag,
K Usi Me Jal Jaane Ko Jee Chahta He,
Koi Bhi Kaam Me Ab Dil Lagta Nahi,
Bus Subah Shaam Tumhara Hi Intezaar Karne Ko Jee Chahta He,
Honge Na Hum Kabhi Tujh Se Juda,
Ab To Ye Kasam Khaane Ko Jee Chahta He…

Saturday, 30 June 2012

bhul jata tha..

Udaas shamon me lot kar wo aana bhul jata tha,
Kar ke khafa mujhko manana bhul jata tha,
Inhi khaslaton ne uski mujhe badnam kar dala,
Wo likh ke naam dewaron pe mitana bhul jata tha,
Mat puchho mohabat me la parwahi uski,
De k zakham wo marham lagana bhul jata tha,
Kitna dilnasheen hota tha uski yaad ka manzar,
Wo jab bhi yaad aata tha main zamana bhul jata tha..

Yaad Aati Rahi...


Thursday, 28 June 2012

Doob Rahi Hain Saansain Magar Ye Gumaan Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai
Muddat Hoee Ek Shakhs Ko Bichrhey Lekin
Aaj Tak Merey Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai
Wo Saayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahee
Abhi To Merey Sir Pe Ye Aasmaan Baaqi Hai
Kashti Zara Kinaarey Ke Qareeb He Rakhna
Biphri Hoee Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai