Wednesday, 1 August 2012

Tere Siva Kuch Bhi Nahi

Socha Nahi Acha Bura, Dekha Suna Kuch Bhi Nahi
Manga Khuda Se Raat-Din, Tere Siva Kuch Bhi Nahi

Socha Tujhe, Dekha Tujhe, Chaha Tujhe, Pooja Tujhe
Meri Wafa Meri Khata, Teri Khata Kuch Bhi Nahi

Jis Per Humari Aankh Ne Moti Bichaye Raat Bhar
Bheja Vahi Kagaz Use, Humne Likha Kuch Bhi Nahi

Ik Sham Ki Dehleez Per Baithe Rahe Voh Der Tak
Aankhon Se Ki Baatein Bahut Moonh Se Kaha Kuch Bhi Nahi

Do Char Din Ki Baat Dil Khak Mein So Jayega
Jab Aag Per Kagaz Rakha, Baki Bacha Kuch Bhi Nahi

Wo Din. .

Muskurate The Jo Hum To Sama Roshan Ho Jata Tha
Lagte The Jo Doston Se Gale To Rom Rom Khil Jata Tha
Waqt Bhi Na Jaane Kuch Palon Mei Simat Jata Tha
Bewajah Hasne Ka Silsila Aksar Suru Ho Jata Tha…

Khwaab Ko Palkon Pe Sajakar
Doston Ke Saath Kadam Se Kadam Milakar
Bewajah Hi Hum Nikal Padte The
Besaq Aate The Kuch Kam Paise Ghar Se
Par Wo Bhi Bahut Lagte The…

Dil Bhi Aksar Kisi Ko Dekhkar Aahen Bharta Tha
Uska Chehra Har Waqt Khwabon Mei Sajta Tha
Muskurati Thi Wo To Sara Gulshan Mehakta Tha
Par Na Jaane Kyun Dil Kuch Kehne Se Darta Tha…

Aati Jo Thi Exams Ki Date Kareeb To Khamoshi Cha Jaati Thi
Har Kahin Paper Leak Hone Ki Afwahen Sunai Pad Jaati Thi
Paper Hamesha Acche Hi Na Jaan Kaise Ho Jaate The
Bas Uske Baad To Masti Se Baaki Din Bitaate The…

Aksar Abhi Bhi Khayalon Mei Wo Din Yaad Aate Hain
Bewajah Hi Lub Khud B Khud Muskura Jaate Hain
Hum Bhi Kuch Pal Ke Liye Hi Sahi Tension Bhool Jaate Hain
Apne Aap Ko Kisi Jaanat Ki Duniya Mei Paate Hain…

Saturday, 28 July 2012

Derd

***
Kisi Ki Yaad Kbhi Raz Nhi Hoti,
Waqt Ke Pahiye Me Awaz Nahi Hoti.
Jane Kis Pal Kiski Yaad Aa Jaye,
Q Ki Yade Kisi Bahane Ki Mohtaj Nhi Hoti.
***
Nikle jab ansu uski Ankho se,
Dil karta hai sari Duniya jala du,
Phir Sochta hu honge Duniya me uske bhi apne,
Kahin anjane me use aur na Rula du.
***
Kuch bikhre sapno se ankhon mein nami hain.
Ek chota sa asman aur umido ki jami hain.
Yun toh bahut kuch hain zindagi mein.
Sirf jo dur hain uski kami hai..!
***
Ek hi tamanna rahi ek zamane se,
bane hamare bhi apne banane se,
dunia ki nazar aur hamari nazar me itna antar kyu raha.
koi hame samajha hi nahi hamare sachche pyar se
***
Jb mehfil me bi tanhayi paas ho,
Rosni me bi andhere ka ehsas ho,
Tb kisi khas ki yad me muskura do,
shayad wo bi apke intzar me udas ho.
***
Khud pe jo tha aitbaar jhutha nikal gaya
Dariya mere kayaal se gehra nikal gaya
Kbi bata diya tha kisiko apna pata
meelon meri talash me rasta nikal gaya
 ***
 Bekasur The Phir Bhi Sataye Gaye Ham,
Khud Roye Nahi Rulaye Gaye Ham,
Aise To Ham Nahi Ki Yaad Na Aaye,
Bhule Nahi Bhulaye Gaye Ham…
***
Falak Se Unchi Hogi Udaan Hmari,
Duniya Bhi Dekhegi Ek Din Shaan Hmari,
AGar Meri Dhadkan Ruki To Teri Bhi Sanse Ruk Jayegi,
Kuchh Aise Basi Hogi Ek Dusare Me Jaan Hmari..
 ***
 Dil k bazaar mein subse gareeb hum he,
Khwaabo ki duniya mein badnaseeb hum he,
Humare liye unke pass waqt hi nahi,
Or log kehte h unke subse kareeb hum he.
***
Tanha akele jab teri yaad hoti hai
Veerane dil me aahat si hoti hai
Dhadkano me hich kichahaat si hoti hai
Jab bi dhoonda humne aashiyana ashiquie ka…
Aankho me aashko ki barsaat si hoti hai….!!
***

Teri Judai






















Tujh Ko Apne Dil Mein Basaya
Aur Basaya Kuch Bhi Nhi
Jidhar Daikha Udhar Tu Hi Nazar Aya
Aur Nazar Aya Kuch Bhi Nhi
Teri Judai Se Kya Kya Na Sikha Hai
Pehle Hasna Aur Phir Rona Sikha Hai
Tujh Hi Se Sab Sikha Hai
Dard Mein Hasna Bhi
Teri Judai Se Sikha Hai
Logo Se Mohabbat Karna
Logo Ke Dard Ko Apna Samjhna Bhi
Teri Judai Se Sikha Hai
Dard Sehna, Dard Mein Muskrana Aur
Tanhai Main Rona Bhi
Teri Judai Se Sikha Hai
Har Waqt Tarapna
Raaton Ko Uth Uth Ke Rona Bhi
Teri Judai Se Sikha Hai
Teri Judai Se Kya-Kya Na Sikha Hai
Maine Pehle Hasna Aur Phir Rona Sikha Hai

Dosti 4

***
Rishton ki dori kamzor hoti hai,
Aankhon ki baatein dil ki chor hoti hai,
Khuda ne jab bhi pucha dosti ka matlab,
Hamari ungli aapki aur hoti hai.
***
Dosti Ke Bhi Kuch Andaaz Hote Hain,
JaagtiAakhoon Me Bhi Kuch Kwaab Hoten Hain,
Zaroori Nahin Ke Gham Me Aansoo Nikle,
Muskurate Aakoon Me Bhi Sailaab Hote Hain…
***
Kamyabi kabhi badi nahi hoti,
Pane wale hamesha bade hote hai.
Darar kabhi badi nahi hoti,
Bharne wale hamesha bade hote hai.
Itihaas ke har panne par likha hai,
Dosti kabhi badi nahi hoti,
Nibhane wale hamesha bade hote hai…
***
Tum kya milley har khushi mil gayi,
teri dosti har andhere ko ujaale mein badal gayi,
yunhi nibhaate rehna dosti sath dena har kadam pe mera,
teri dosti kya mili hamein toh duniya ki har cheez mil gayi…
***
Aap ka ashiana dil me basa rakha hai,
Aap ki yado ko seene se laga rakha hai,
pata nahi yaad aate hai Aap hi ki kyo?
vaise dost to humne auro ko bhi bana rakha hai…
***
Jab se aapko jana hai,
Jab se aap sa dost paya hai,
Har dua me aap ka naam aaya hai,
Dil karata hai punchu us rab se ke,
Kya itna pyara dost sirf mere liye banaya hai….
***
Masti aankhon mein hoti hai,sharaab mein nahi
Bhakti shraddha mein hoti hai,shabdon mein nahi,
Tu bhi jaan le mere yaar,
Dosti dil mein hoti hai dikhawe mein nahi
***
Yahi to khoobsurat dosti ka naata hai,
Jo bina kisi shart ke jiya jaata hai...
Rahe duriyan darmiyan to parwaah nahi,
Dost to harpal dil me basaya jaata hai...
***
Jab kabhi gum sataye,
koi baat dil ko na bhaye,
Aankho me agar aansu chalak aaye,
Baat karke dekhna mujhse,
Kya pata ek aansu kam ho jaye.
***