Friday, 10 August 2012

Good Morning (A)


Yaad Aata Hai Aksar Wo Gujra Zamana
Tera Mithi Si Aawaz Me Jaanu Keh Ke Bulaana..
Wo Subah Me Chaay Ke Saath Mujhko Jagaana
Aur Roz Dono Ke Liye Bas Ek Hi Cup Banaana....
>>>>>>>
Pyari Si Sweet Nindiya Ke Baad,
Raat Ke kuch Sapno Ke Baad,
Subhah Ki Kuch Ummidon Ke Sath,
Aapko Pyaar Bhara…….
GOOD MORNING Hamari Duaon Ke Sath…
>>>>>>>
Suraj tu unko mera paigam dena,
Khushi ka din aur hasi ki subah kehna,
Jab wo dekhe tuje bahar aakar,
to unko mera
Good Morning Kehana
>>>>>>>
Ayi hai subhah wo roshani leke,
Jaise naye josh ki nayi kiran chamke,
Vishwas ki lau sada jalake rakhana,
Degi andheron mein rasta diya banke..
>>>>>>>
Naye Din Ki Nai Subha Ka Naya Naya Andaaz
Saare Din Ki Jholi Me Kuchh Chhupe Hue Hain Raaz
Tujhko Mujhko Har Kisi Ko Milna Hai Kuchh Aaj
To Aao Yaaron Khushi Khushi Kar Len Din Ka Aaghaaz
>>>>>>>
Phulon ki wadiyon me ho basera aapka,
Sitaron k aangan me ho savera aapka,
Dua hai ek dost ki dost k liye,
Humse bhi khoobsurat ho naseeb aapka
>>>>>>>
Har subah teri dunia mein roshni kar de,
Rab tere gam ko teri khushi kar de,
Jab bi doobne lgeteri sanse,
Khuda tuj mein shamil meri zindgi kar de.
>>>>>>>
Bin savan barsat nahi hoti,
Suraj dube bina raat nahi hoti,
kya kare ab kuch aise halat hai,
aapki yaad aaye bina din ki shuruat nahi hoti.
>>>>>>>
Pyari si meethi si neend k baad,
Raat k kuch lamho k baad,
Subah k naye sunhare sapno k saath,
Duniya mein kuch apno k saath,
Aapko pyara sa SUBH PRABHAT
>>>>>>>
Bhool jao bite huye kal ko,
Dil me bsalo anewale pal ko,
Muskurao chahe jo bhi ho kal,
Khushiya lekar ayega aane wala pal,
Good Morning
>>>>>>>
 Subah ka ujaala sada saath ho,
Har din har pal apke liye khas ho,
Dil se duaa nikalti hai aapke liye,
Saari khushiya aapke pass ho.
>>>>>>>
Rat ke bad subah ko ana hi tha
gum ke bad khushi ko ana hi tha
Kya hua agar hum der tak soye rhe
par hmara morning msg to ana hi tha
>>>>>>>

GooD NighT Or Subhratri Messages..(A)


 CHAND” Ko Bitha K Pehre Pe!
“TAARO” ko Diya Nigrani Ka Kaam…!
Ek “RAAT” Suhani Aapke Liye…
Aur Ek Sweet Sa “DREAM” Aapki Aankho k Naam…
!..Good night..!
>>>>>
Chand Ka Colour hai white,
Raat Ko Chamakta he  bright,
Humko deta hai mast light,
Mai Kaise so jau apko Kahe bina.
Gud Night.
>>>>>
So jaiye palko me lekar sapne dher sare,
Apko kare salaam ye chand or tare,
Khuda se dua karenge aaj ki raat,
ki Pure ho apke khwab sare.
Good Night
>>>>>
Aapko pakar ab khona nahi chahate,
Itna khush hokar ab rona nahi chahate,
Ye aalam hai hamara apki yad me,
Ankho me neend hai, magar sona nahi chahate.
>>>>>
Raat ka chand nikal aaya hai,
Shath apne taro ki barat laya hai,
Pyar se dekho aasman ko..
Wo meri or se apko gud night kahne aaya hai.
>>>>>
Chamakte Chaand Ko Neend Aane Lagi
Aap Ki Khushi Se Dunya Jagmagane Lagi
Dekh Ker Aap Ko Har Kali Gungunane Lagi
Ab Tou Mujhe Bhi Phenkte Phenkte Neend Aane Lagi
Good Night
 >>>>>
 Din bita raat aayi Sone ki ab baat aayi,
Jab ja rahe the sone ko  Tab Aapki yaad Aayi,
Socha band karne se pahle light,  Aap se bol du .
G00D NIGHT…
>>>>>
Tare tere aangan ko jagmaga de.
chand tujhe chandni de
phool tujhe khusbu de.
humTo dene ke kuch kabil nahi,
denewala tujhe dunia ki har khusi de.
GudNite
>>>>>
Raat aathi hai sitare lekhar,
Neend aathi hai sapne lekhar,
Humari dhua hai kal ki subha aaye tumhare liye,
bohot sari khushiya lekhar GOOD NIGHT
>>>>>
Soti hui ankho ko salam hamara
meethe sunhare sapno ko adab hamara
dil me rahe pyar ka ehsas sada jinda
aaj ki raat ka yahi paigam hamara
Subhratri
>>>>>
Chupke se suno, Dhire se gino,
Ek Choti si baat,
Ho gyi hai Raat.
So jao pyaar se, Sapno k saath.
Band kro Light,
Mujhe Apse kehna hai
Gud Night
>>>>>

Friday, 3 August 2012

Maa


Maa Tere Bina

Khwabon Ki Tasveer Dekta Hun Unki Aankhon Mein
Chaand Ki Roshni Ko Mehsoos Karta Hun Unki Panahon Mein
Main Kya Hun Is Zindagi Mein Meri Pehchaan Hai Kya
Tere Naam Se Judi Har Saans Keh Rahi Hai Sada
Meri Maa Tere Bina Duniya Kitni Sooni Sooni Hai
Jeena Tere Bin Yahan Bas Meri Majboori Hai…

*******

Maa Se Itna Pyaar

Dekhun Jo Teri Aankhon Ko Mera Har Sapna Jaag Jaaye
Sunoo Jo Teri Baaton Ko Kuch Jajba Bas Jaaye
Chahun Main Aur Kya Is Zindagi Se
Mangu Main Aur Kya Us Khuda Ki Roshni Se
Jo Maa Tujhse Itna Pyaar Mil Jaye…

*******
 
Maa Ki Mamta

Maa Se Pyara To Koi Bol Ho Nahi Sakta,
Maa Ki Mamta Ka Koi Mol Ho Nahi Sakta,
Khud Nahi Khati Hai Bachcho Ko Khila Deti Hai,
Waqt Pe Thapkiya De De Sula Deti Hai,
Sach To Ye Hai K Wo Shhaqs Hai Sabse Gareeb,
Maa Ka Saaya Hota Nahi Jise Duniya Me Nasseeb,
Zakhm Jab Bacche Ko Lagta Hai To Maa Roti Hai,
Aisi Nisbat Kisi Aur Rishte Me Kahan Hoti Hai…

*******

Zindagi















Chaader Pe Padi Ek Salwat He Zindagi
Kahin Dile-Dariya Kahin Khatpat Hai Zindagi
Kabhi Hasaati Hai Kabhi Rula Deti Hai
Sambhal Ke Chalna Badi Natkhat He Zindagi
Kabhi Yun Hi, Kabhi Bamushkil Milta Nahin Sakun
Jiyo To Hass Ke Jiyo Varna Marghat Hai Zindagi
Jise Dekhe Bina Na Kat-Ta Tha Ik Pal
Hui Shaadi Usi Se To Badi Jhanjat Hai Zindagi
Saawan Ki Bauchhaar Kabhi Jayeshth Ki Tapish
Gauri Se Ho Milan To Panghat Hai Zindagi

Tujhe Khona Nahi Chahta Maa

Zindagi Mein Kuch Paya Aur Kuch Khoya
Lekin Tujhe Khona Nhi Chahta Maa
Zindagi Ne Kabhi Hasaya Aur Kabhi Rulaya
Lakin Tujhe Rulana Nhi Chahta Maa
Yaad Aati Hai Bahot Tere Bachpan Ki Wo Lory
Isi Liye Teri God K Elawa Kahin Aur Sona Nhi Chahta Maa
Kitna Daanta Tha Tune Bachpan Mein
Ab Q Nhi Daandti Tu Mujhe Maa
Kaise Zinda Reh Paunga Main Tere Baghair
Kabhi Fursat Mile Mujhe Tu Ye To Bata Maa
Zindagi Tune To Meri Roshan Kar Di
Lekin Khud Kiss Andhere Mein Kho Gayi Tu Maa
Kabhi To Khila Mujhe Apne Hath Ki Roti
Aaj Kal Bhukh Bahoth Lagthi Hai Mujhe Maa
Kahaan Ho Tum, Aa Kar Lagalo Gale Iss Bebas Prince Ko
Na Jane Kis Kaash Main Nikal Jaye Meri Saans Maa…