Wednesday, 5 September 2012

Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai

Jab-Jab Dard Ka Baadal Chaya
Jab Gham Ka Saya Lehraya
Jab Aansoo Palkon Tak Aya
Jab Yeh Tanha Dil Ghabraya
Humne Dil Ko Yeh Samjhaya
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai

Duniya Mein Yunhi Hota Hai
Yeh Jo Gehre Sannaate Hain
Waqt Ne Sabko Hi Baante Hain
Thoda Gham Hai Sabka Kissa
Thodi Dhoop Hai Sabka Hissa
Aankh Teri Bekaar Hi Nam Hai
Har Pal Ek Naya Mausam Hai
Kyun Tu Aise Pal Khota Hai
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai

Zinda Ho Tum

Dilon Mein Tum Apni Betaabiyan Leke Chal Rahe Ho, Toh Zinda Ho Tum
Nazar Mein Khwabo Ki Bijliyan Leke Chal Rahe Ho, Toh Zinda Ho Tum

Hawa Ke Jhokon Ke Jaise Aazad Rehna Seekho
Tum Ek Dariya Ke Jaise Lehron Mein Behna Seekho
Har Ek Lamhe Se Tum Milo Khole Apni Baahein
Har Ek Pal Ek Naya Samaa Dekhiye

Jo Apni Aankhon Mein Hairaniya Leke Chal Rahe Ho, Toh Zinda Ho Tum
Dilon Mein Tum Apni Betaabiyan Leke Chal Rahe Ho, Toh Zinda Ho Tum

Pighle Neelam Sa

Pighle Neelam Sa Behta Ye Sama
Neeli Neeli Si Khamoshiyan
Na Kahin Hai Zameen Na Kahin Aasmaan
Sarsaraati Hui Tehniyaan-Pattiyaan
Keh Rahi Hain Bas Ek Tum Ho Yahan
Bas Main Hoon, Meri Saanse Hain Aur Meri Dhadkane
Aisi Gehraiyaan, Aisi Tanhaiyaan, Aur Main… Sirf Main
Apne Hone Par Mujhko Yakeen Aa Gaya

Friday, 31 August 2012

GooD Morning (B)

Nayi si Subah
Naya sa Sawera
Suraj ki kirno me hawao ka bsera,
Khule asman me Suraj ka chehra,
Mubarak ho apko ye hasin Savera
::::::::::::::
Fir umido bhari SUBAH aayi hai
SURAJ ko sath layi hai
Hamari dosti ka ye asar to dekho
ki Hawaye bhi aapko
Good Morning Kehne aayi hai.
::::::::::::::
Subah ka ujaala sadaa saath ho,
Har din har pal apke liye khaas ho,
Dil se duaa nikalti hai aapke liye,
Saari khushiyaa aapke paas ho...
::::::::::::::
Uth k dekho subah ka NAZARA
Hawa bhi thandi mausm bhi he PYARA
So gaya chand chup gyaa har SITARA
Kabul ho aap ko subah ka salam hamara
::::::::::::::
Subah ki Hawaye,
Fulo ka Basera,
Hamari dua he,
Rahe khuda ka Pehra,Gam na 6ue aap ko,
Khusio ka ho Dera,Mubarak ho apko ye mahekta Savera.
 
::::::::::::::
Subah Ko Satana Accha Lagta Hai,
Soye Huye Ko Jagana Accha Lagta Hai,
Jab Yaad Aati Hai Kisiki To,
Use Bhi Apni Yaad Dilana Accha Lagta Hai.
 
::::::::::::::
Har phool apko armaan de,
har subah aapko salam de,
hum dua karte hain,
aapka ek aansu bhi agar nikle,
to khuda aapko us se dugani muskaan de..

::::::::::::::
Apki aankho ko jga diya humne
"Good Morning, ka farz ada kiya humne.
Mat sochna ki soye hue hai hum
Aaj apse pehle apko yaad kiya humne
::::::::::::::
Chamkti Chadni Mahkte Phool.
Dosti k Wade Doston k Usul.
Pyari hawao s udti, Khusbu wali Dhul.
Apni Pyari Muskraht se karo hmara ye
“good morning” Kabul
::::::::::::::
 Har subah kuch khas ho,
 Aankho me thodi Aas ho,
 Sapne jo dekhe raat me ,
 Sach wo Aaj ho,
 Or fir…
 Ye din ek khushnuma Ehsaas ho.. 
::::::::::::::

Funny Shayri 2

Mandir me Puja Karte He,
Masjid Me Namaj Padhte He,
Insaan Se Bhagwan Na Banjayein,
Isliye Roj Tumhe Sms Karke,
Ek Paap Karte He.
******
Taj mahal kya cheez hai,
Me tere liye usse bhi bada mahal banaunga,
Mumtaz ko to marne ke baad dafnaya tha
Me tujhe zinda dafnaunga.
******
Paani Aaane Ki Baat Karte Ho,
Dil Jalane Ki Baat Karte Ho,
Char din Se Muh Nahi Dhoya,
Tum Nahane Ki Baat Karte Ho.
******
Bago Me Phool Khilte Rahenge,
Raat Me Deep Jalte Rahenge,
Khuda Apko Saari Khusiyan De De,
Baki Takleef Wo Hum Apko Dete Rahenge.
******
Zindgi Ke Safar Me Apka Saath Hum Denge,
Apne Dosti Ke Saugat Hum Denge,
Girne Lage Aap To Apna Hath Hun Denge,
Aur Agar Na Bhi Gire To Ek Laat Hum Denge.
******
Dil main basa hai pyar tera,
Aakhon mein hai tasavir teri 
Jab yaad aati hai teri,
Hum dekhate hai TOM & JERRY
******
Jab Apki Yaad Aati Hai To,
Apka Sms Padh Leta Huin.
Jab Apko Dekhna Ho To,
Aankhe Band Kar Deta Huin.
Agar Apke Awaz Sunne Ka Dil Karta He To,
Raste Me Kutte Ko Laat Marta Huin.
******
Agar manzil ko pana hai to himat saath rakhna,
Agar pyar ko pana hai to aitbar saath rakhna,
Agar hamesha muskurana ho to,
BRUSH AUR PASTE SAATH RAKHNA.
******
Dosti Ki Kadar Karte He Itni,
Aasman Me Roshni Ho Jitni,
Yakin Nahi To Call Karke Dekhlo,
Baat Karenge Utni,
Mobile Me Apke Laxmi Hogi Jitni.
******
Ek Hawa Ka Jhoka Aaya,
Saath Me Apka Khusboo Laya,
Toh Mere Dil Me Ye Khayal Aaya,
Ki Aaj Bhi Mera Dost Nahi Nahaya.
******
Arz Kiya Hai,
Mehfil Sazi Thi, Message Ka THa Daur,
SMS Maine Kiye The, Sabne Kiye Sor,
Paisa To Mera Gaya,
Par Sab Kanjoosh Keh Rahe The
Ek Aur..Ek Aur.. Ek Aur.. .
******