Saturday, 6 October 2012

Dosti 8

Dekhte he aaj us rah ki viraniya
Yaro k sath jaha suni thi kahaniya
Guzra wo daur
Bichhad gaye sab dost
Sath reh gayi bas un lamho ki nishaniyan.!
------------
Jitni Izat us khuda ki he
Utni Izzat Mere dilme Mere Dosto ki he
Bas Frk Sirf Itna he ki
khuda khud 1kudrat he
Aur Mera Dost us khuda ki Rehmat He
------------
Jo kami thi wo dur ho gayi,
Zindgi 1 khilta hua ful ho gayi,
Dua ki thi ki muje jaan se pyara dost mile
Aap mile to laga ke shayad dua qubul ho gayi.
------------
Dosti baris ka naam nahi ke barse aur thum jaye,
Dosti suraj nahi ke chamke aur dub jaye,
Dosti to naam hai saans ka
jo chale to "ZINDAGI" or Ruke to "MOUT" Ban jaye.
-----------
zindgi guzr jye pr pyar km na ho
yad hme rkhna chahe pas hm na ho
qyamat tk chalti rhe ye dosti ka sfar
dua kro rb se kbi ye rishta khtam na ho.
-----------
Dard ko DiL ME Chhupa Lete He
Hum nhi Rote HaLat Rula Dete He
Har pAL Yaad krte H Aapko.
Aap Phir Bhi BhuL jane ka ilzaam Laga Dete He
-----------
Socha na tha kabi aisi dosti hogi,
Manzilo ke sath raahe bi hasti hogi.
Jannat ki galiyo ke khwab kyu dekhu,
Agar hum sare dost sath honge to Nark me bi masti hogi
-----------
Aankhon Se Aapke Dil Me Utar Jayenge
Dil Me Utar Kar Dhadkan Ban Jayenge
Palko Ko Jhuka Kar Chalna Dost
Warna Aankho Me Hum Nazar Aayenge
-----------
Wo Bekhabar Ho Gaya Hai Mujh Se
Kuch Anjaan Sa Ho Gaya Hai Mujh Se
Na Jane Kya Kasoor Kiya Humne
Jo Bewajah Khafa Ho Gaya Hai Mujh Se..
-----------
Yu hi to khoobsurat hai dosti ka nata,
Jo bina shart ke jiya jata hai,
Rahe duriya to parvaah nahi,
Dost to harpal dil me basaya jata hai
-----------

No comments:

Post a Comment